sab se chupa kar dard jo maine muskura diya....
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.....
leher sa uth raha tha har ik dard ka dhuaan...
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya...
aawaz mein tthay-rao tha, aankhoon mein nami thi...
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya....
jane kya us ko loghon se thi shikayatein....
tanhaiyon ke desh mein khud ko basa diya...
khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gaya....
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya....
No comments:
Post a Comment